Us Hussain Ibne Haider Pe Lakhon Salam Lyrics

Please Share

Us Hussain Ibne Haider Pe Lakhon Salam Lyrics: One of the most beautiful Hussaini Salam in the world, Salam before the start of Muharram.

Us Hussain Ibne Haider Pe Lakhon Salam Lyrics:-

Us Hussain Ibne Haider Pe Lakhon Salam

Kar Liya Nosh Jis Ne Shahdat Ka Jam

Jis Ko Dhoke Se Koufe Bulaya Gaya

Jis Ke Bachoen Ko Pyasa Rulaya Gaya

Khanjar Zulm Jis Par Chalaya Gaya

Us Ki Kamil Shahadat Pe Lakhon Salam

Jis Ne Haq Karbala Ka Ada Kar Diya

Jis Ne Nana Ka Wa’ada Wafa Kar Diya

Jis Ne Kumbe A Kumba Fida Kar Diya

Badshah E Sakhawat Pe Lahkoun Salam

Jis Ko Ummat Ka Gham Hi Satata Raha

Ashq Gharoun Men Jo Bhi Bahata Raha

Jo Muqaddar Hamare Banata Raha

Us Ki Sab Se A’al O Ishrat Pe Lakhon Salam

Jis Ke Shohar Par Khanjar Chalaya Gaya

Jis Ke Bethe Ko Khoun Men Nalaya Gaya

Jis Ki Bethi Ko Qadi Banaya Gaya

Us Khatoon E Qayamat Pe Lakhon Salam

Samne Jis Ke Akbar Zibah Ho Geye

Goad Me Jis Ke Asghar Tarapte Rahe

Jis Ko Ummat Ne Teeroun Ka Tohfa Diya

Us Shaheed E Mohabbat Pe Lakhon Salam

Zehre Khanjar Bhi Haq Bat Jis Ne Kahi

Choot Par Choot Seine Pe Jis Ne Sahi

Jis Ki Sugra Madine Me Roti Rahi

Us Ki Saim Shahadat Pe Lakhon Salam

Wo Qarar E Dil Sarwar E Anbiya

Jan E A’alam Jigar Ghosha E Murtada

Walida Jin Ki He Sayida Tahira

Us Nasab Ki Sharafat Pe Lakhon Salam

Dekho Dekho Wo Ma’asome Asghar Ali

Qasim Akbar Almadad A’abas Bhi

Hazrat A’abid Huru Fadar Bhi

Is Mubarak Jama’at Pe Lakhon Salam

Jab Ke Meedan Me Aya Wo Sheer E Khuda

Jin Ke Rukh Se Hoye Mahe Wanjam Fida

Dekh Kar Un Ke Jalwe Ko Ye Ghul Macha

Is Norani Surat Pe Lakhon Salam

Zakhm Katha Raha Muskurata Raha

Haq Ki Khadir Wo Bache Katata Raha

Sabar Ki Ipdida Ishq Ki Inteha

Be Misal E Saja’at Pe Lakhon Salam.

I hope guys really enjoyed these lyrics If I had made any mistakes, please correct us.

Check out the Video Hussaini Salam of the above lyrics.

1 thought on “Us Hussain Ibne Haider Pe Lakhon Salam Lyrics

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *