Aa Gaya Mahe Aza Lyrics

Please Share

Aa Gaya Mahe Aza Lyrics:- One of the most beautiful Noha is sung by Safeer E Aza Ameer Hasan Aamir (Delhi), Ali Mohammad Sultanpuri (Eastern UP), Ali Akbar Ameen (Gujraat), Mahfooz Sultanpuri (Eastern UP), Irfan Hussain (Karnataka), Ali Raza Surani (Mumbai), Mohammad Raza Gopalpuri (Bihar), Shabih Abbas Arfi (Western UP) & Ustad Lillah Hussain (Western UP) in his melodious voice.

Aa Gaya Mahe Aza Lyrics:

Yeh Madar e Hasnain(sa) ki maqsoos ataa hai
Shabbir (as) ka matam Humme kismat se mila hai

Aagaya Mahe aza ashk bahao logo’n
Ispe pehra nahi aansoo na chhupao logo’n

Fatema(sa) Ayin hein Jannat se Muharram Kerne
Karbala walo ka mazloomo ka matam kerne
Haat matam ke liye jald uthao logo’n

Waqt Aya Hai Jo Ek Roz Chala Jayega
Gar Kami Reh Gayi Dil Chain Nahi Payega
Apni Ankho Ko Samandar Se Milao Logo’n

Ye Waba aur Ye Maraz Kuch Bhi Na Kar Payenge
Ye Kaha Matam E Shabbir Se Takrayenge
Karke Matam Inhen Oqaat Me Lao Logo’n

Ankhe dikh laake karo maut ke aage matam
Leke badhte raho Abbas e Jari(as) ka parcham
Ham Hussaini hein ye duniya ko batao logo’n

Yeh aqeeda hai zaroor ayenge Ghazi Abbas(as)
Raasta phir hame dikhlayenge Ghazi Abbas(as)
Waasta deke sakina(sa) ka bulao logo’n

Pani Abbas(as) Sakina(sa) ke liye la na sake
Shane katwa ke bhi mashkeeze ko pohchana sake
Naam par unke sabeelo ko sajao logo’n

Yeh Muharram jinhe is saal mayassar na hua
Jin Azadaro se mazloomo ka ye gham chuta
Unke hisse ka bhi kuch farz nibhao logo’n

Karbala deti ‘Waiz’ ye sadayen aksar
Gar tumhe gher le duniya ki balaye aakar
Karbala walo ko awaz lagao logo.

I hope guys really enjoyed these lyrics If I had made any mistakes, please correct us.

Check out the Video Manqabat of the above lyrics.

1 thought on “Aa Gaya Mahe Aza Lyrics

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *