Wah Kya Judo Karam Hai Shah E Batha Tera Lyrics

Please Share

Wah Kya Judo Karam Hai Shah E Batha Tera Lyrics: This beautiful naat is sung by Asad Attari in his melodious voice. Al Ghousia production working Purely on Naat Khuwani.

Wah Kya Judo Karam Hai Shah E Batha Tera Lyrics:

Wah kya Jood o Karam hay shah e batha tera
Nahi sunta hi nahin maangne waala tera

Dhaare chalte hain ataa key woh hay qatrah tera
Taare khilte hain sakha key woh hay zarrah tera

Faiz hay ya shah e tasneem niralaa tera
Aap pyaason key tajassus mein hay daryaa tera

Aghniya palte hain dar sey woh hay baara tera
Asfiya chalte hain sar sey woh hay rasta tera

Farsh waale teri shaukat ka uloo kya jaanein
Khusrawaa arsh pe urta hay pharera tera

Aasmaan khwaan zameen khwaan zamaana mehmaan
Saahib e khaana laqab kis ka hay tera tera

Main to maalik hi kahunga key ho Maalik key Habeeb
Yaani mehboob o muhib mein nahin mera tera

Tere qadmon mein jo hain ghair ka munh kya dekhein
Kaun nazron pe charhe dekh key talwaa tera

Behr e Saail ka hoon saail nah kunwe ka pyasaa
Khud bujhaa jaaye kaleja mera cheenta tera

Chor hakim sey chupa karte hain yaa’n uske khilaaf
Tere daaman mein chupe chor anokha tera

Aankhein thandi hon jigar taaze hon jaanein sairaab
Sachhe sooraj woh dil aaraa hay ujaala tera

Dil abas khauf sey patta saa uraa jaata hay
Palla halka sahi bhaari hay bharosa tera

Ek main kya mere isiyaan ki haqeeqat kitni
Mujh sey sau laakh ko kaafi hay ishaara tera

Muft paala thaa kabhi kaam ki aadat na parri
Ab ‘amal poochte hain haaye nikamma tera

Tere tukron sey pale ghayr ki thokar pe na daal
Jhirkiyaan khaayein kahaan chhor key sadqa tera

Khwaar o beemaar o khatawaar o gunahgaar hoon mein
Raafe o naafe o shaafe laqab aaqa tera

Meri taqdeer buri ho toh bhali kar dey key hay
Mehwe isbaat key daftar pey karora tera

Tu jo chaahe toh abhi mail mere dil key dhulein
Key Khuda dil nahin karta kabhi mailaa tera

Kis ka munh takiye kahaan jaaiye kis sey kahiye
Tere hi qadmon mein mit jaaye yeh paala tera

Tu ney islaam diya tu ney jama’at me liyaa
Tu kareem ab koi phirta hay ‘atiyyah tera

Maut suntaa hoon sitam talkh hay zehr aab e naab
Kaun laa dey mujhe talwon ka ghasaalah tera

Door kya jaaniye badkaar pey kaisi guzre
Tere hi dar pey mare bekas o tanhaa tera

Tere sadqe mujhe ik boond bohot hay teri
Jis din achon ko mile jaam chalaktaa tera

Haram o Taibah o Baghdaad jidhar kijiye nigaah
Jowt parti hay teri noor hay chantaa tera

Teri sarkaar me laata hay Raza usko shafee’
Jo mera Ghaus hay or laadlaa betaa tera.

I hope guys you really enjoyed these lyrics If I had made any mistake, please let me know.

Check Out the Video Naat of the Above Lyrics.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *