Islam Me MAA-BAAP Ki Ahmiyat Bayaan

Please Share

Mere pyaare pyaare islami Doston, maa-baap ka Islam mein bahut bada darja hai, jis insan se uske Maa-baap naraz hote hain unse Allah bhi naraz hota hai, isliye kabhi bhi apne maa-baap se unchi awaz mein baat na karo, unko sakht jawab na do, unki har baat maano (agar koi baat islam ke khilaf ho to usko mana kiya ja sakta hai). Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya (jiska matlab ye hai ki) – Agar meri maa aaj zinda hoti aur mujhe kisi kaam ke liye awaaz deti to chahe mein Namaz padhne ke liye bhi khada ho chuka hota to bhi mein namaz todkar apni ammi ki baat sunen chala jata. Dosto, Jab insan bada hota hai aur khud ke bacche hote hain, tab usko pata chalta hai ki humko bhi hamare maa-baap ne raato ko aise hi jaag-jaag kar pala hoga. Hamare Apni khushi ko qurbaan kar apne baccho ki khushi puri ki hogi. Sote mein agar ek baar maa humko utha de to humko bura lag jata hai, lekin bachpan mein hamari maa baar-baar uthkar hamare kambal ko sahi karti thi, hamare takiye ko sahi karti thi, Allah humko apne maa-baap ki khidmat, izzat karne wala bana de. Aameen

Allah Rabbul Izzat Qurane Kareem me farmata hai:

Aur tere Parwardigaar Ne huqm De Rakha hai ke Mere Alaawa Kisi ki Ibaadat Na Karna, Aur Apne Maa Baap Se Acchha Sulook Kiya Karna, Agar Unme Ka ek Ya Dono Teri Maujoodagi Me Budhaape Ko Pahunche (to unki Khidmat karte hue) Tum Unko ‘uff’ tak Bhi Na kahna Aur Na Unko Zhidakna Aur Na unko Taqleef Dena (warna unka Zara sa bhi Dil toota Toh Teri Khair Nahin) Aur Muhabbat Se unke Aage Jhuk Jaaya Karna Aur (Unke Liye Dua Karte Hue ) Kaha Karna Ki Aye mere Parwardigaar ! Un dono Par Raham Farma, Jaisa Ki Unhone Mujhe Bachpan Me paala Posa”

Walidain Ka Apni Aulaad Par Kitna Haq Hai ?

Hazrate Aboo Umama (Razi’Allahu Anhu) Riwayat Karte Hain Ki,

Ek Aadami Aaya Aur Uss Ne Arz Kiya: Ya Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam)! Waliden Ka Apni Aulaad Par Kitna Haq Hai?
Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya – “Woh Donon Teri Jannat Hain Aur Dozakh.” Yaani Unki Khidmat Kar Ke Jannat Haasil Kar Lo – Ya Nafarmaani Kar Ke Dozakh Ke Mustahiq Ho Jawo.

“Bazaar se her cheez (thing) mil jati hai Maa jaisi Jannat (Heaven) aur Baap jaisa Saya nahi milta”

Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal krne Ki Toufiq Ata Farmaye! Aameen

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *